Wednesday 25 March 2015

WAQT KI UDAAN!


Maine mehngi se mehngi ghadi pehni
Par waqt mere anusaar na chala


Maine sbse purani sharaab pee li
Par thehra hua paani mjhe kahin na mila


Suna hai paise se badi koi cheez nhn hoti
Par khareedne se sukh milta nhn
Aur dukh ka koi khareedar nhn hota


Maine zindagi se kuch abi seekha to nhn
Par log saadgi mein jeene nhn dete


Rut-ae-zindagi zara apna pta to bta
Shayyad mere ahem ko raasta mil jae!
Aaj haath thaam k chala le
Shayad mere naino ko chadta suraj dikh jae!!


Kehte hain aflatoon b us panchi k pas aata hai
Jo pankh khol k udaan bharta hai
Log salaam use krte hain
Jiske hunar ka sikka chalta hai!


Waqt ki udaan ka andaaza hi kya
Palat k dekho
Sadak k us paar ka bhikhari b ghadi pehenta hai!




No comments:

Post a Comment